Samsung Galaxy Note 10 & Note 10+ India Mein Launch Huye: Kimatein Aapko Karengi Hairaan
Samsung Galaxy Note 10 & Note 10+ bhi aaj India mein launch ho chuke hain. Dono hi smartphones kaafi acche hain aur best features ke saath 23rd August se available honge. Galaxy Note 10 & Note 10+ ko aap Samsung online shop, Flipkart aur Amazon se aaj se hi book kar sakte hain. Ye dono hi smartphones, Aura Glow, Aura Black, aur Aura White colors mein available honge.
Ab baat karte hain Samsung Galaxy Note 10 & Note 10+ ke features hain.

Galaxy Note 10
Galaxy Note 10 mein 6.3 inch ki full HD+ Curved Dynamic AMOLED Infinity-O display hai. Is handset mein aapko 8GB RAM ke saath 256GB internal storage di gayi hai. Ye UFS 3.0 storage hai. Ismein 3500mAh ki battery hai, jo ki fast charging aur wireless charging support ke saath di gayi hai.
Is smartphone mein triple rear cameras hain, jinmein 12MP dual-pixel primary rear camera LED flash light, f/1.5 – f/2.4 variable aperture ke saath, 12MP telephoto lens45 degree field of view aur f/2.4 aperture ke saath aur 16MP camera 123 degree ultra wide angle lens aur f/2.2 aperture ke saath diya gaya hai.

Galaxy Note 10+
Note 10+ mein 6.8 inch ki Quad HD+ Curved Dynamic AMOLED Infinity-O display hai aur ismein 12GB tak ki RAM options moujood hain. Wahin ismein internal memory options bhi 512GB tak ke diye gaye hain.
Note 10+ mein quad rear cameras moujood hain. Yahaan bhi aapko 12MP ke two rear cameras aur 16MP ka ultra wide angle lens diya gaya hai, lekin saath hi VGA depth vision sensor bhi moujood hai. Note 10+ mein aapko 4300mah ki battery 45W fast charging, wireless charging aur wireless powershare ke saath milti hai.
Iske alawa dono handsets ki mostly specs same hi hain. Galaxy Note 10 & Note 10+ mein 10MP dual-pixel front facing camera f/2.2 aperture ke saath moujood hai.
Dono mein hi aapko Octa Core Samsung Exynos 9 series 9825 chipset diya gaya hai, jo ki 7nm process based hai. Iske alawa Galaxy Note 10 & Note 10+ IP68 certification ke saath water aur dust resistant bhi hain. Dono mein apko ultrasonic in-display fingerprint scanner milta hai.
Music experience bhi is baar aapko achha milne waala hai. In dono handsets mein AKG ke stereo speakers aur earphones diye gaye hain aur saath hi Dolby Atmos surround sound technology bhi hai.

Pricing Details
Galaxy Note 10 – 8GB+256GB – 69,999 INR
Galaxy Note 10+ – 12GB+256GB – 79,999 INR
Galaxy Note10+ – 12GB+512GB – 89,999 INR